Zindagi Mein To Sabhi

SHARE

Zindagi mein to sabh
Zindagi mein to sabhi pyaar kiya karte hain
Main to markar bhi meri jaan tujhe chahoonga
Tu mila hai to ye ehsaas huaa hai mujhko
Ye meri umar mohabbat ke liye thhodi hai
Ek zara sa ghum-e-dauraan ka bhi haq hai jis par
Maine wo saans bhi tere liye rakh chhodi hai
Tujh pe ho jaaoonga qurban tujhe chahoonga
Main to markar bhi meri jaan tujhe chaahoonga
Apne jazbaat mein naghmaat rachaane ke liye
Maine dhadkan ki tarah dil mein basaaya hai tujhe
Main tasavvur bhi judaai ka bhala kaise karoon
Maine kismat ki lakeeron se churaaya hai tujhe
Pyar ka banke nigehbaan tujhe chaahoonga
Main to markar bhi meri jaan tujhe chaahoonga
Teri har chaap se jalte hain khayaalon mein chiraag
Jab bhi tu aaye jagaata huaa jaadu aaye
Tujhko chhulun to aye jaan-e-tamanna mujhko
Dair tak apne badan se teri khushboo aaye
Tu bahaaron ka hai unwaan tujhe chaahoonga
Main to marrkar bhi meri jaan tujhe chaaoounga
Translation
Gham-e-dauraan: period of sorro
Naghmaat: melod
Tasavvur: contemplatio
Nigaahbaan: guard, janito
Jaan-e-tamanna: hearts desir
Unwaan: form, headline, label, legen

This is a great mohabbat shayari 2 lines. If you like pyaar shayari 2 lines then you will love this. Many people like it for pyar shayari 2017. Share it to spread the love.

SHARE