Ye Keh Gaye Hain Musafir Lute Gharon Wale

SHARE

Ye keh gaye hain musafir lute gharon wale
Dare hawa se parinde khule paron wale
Ye mere dil kee hawas dasht-e-be-karan jaisi
Vo teri aankh ke tevar samandaron wale
Hawa ke haath mein kaase hain zard patton ke
Kahan gaye vo sakhi sabz chadaron wale
Kahan milenge vo agle dino ke shehzade
Pahan ke tan pe libaade gada-garon wale
Pahadiyon mein ghire ye bujhe bujhe raaste
Kabhi idhar se guzarte the lashkaron wale
Unhi pe ho kabhi nazil azaab aag ajal
Vahi nagar kabhi theharen pyambaron wale
Tere supurd karun aaine muqaddar ke
Idhar to aa mere khush-rang pattharon wale
Kisi ko dekh ke chup chup se kyon hue 'mohsin'
Kahan gaye vo iraade sukhan-varon wale

This is a great akele hain shayari. If you like akela musafir shayari then you will love this. Many people like it for bhul gaye shayari images. Share it to spread the love.

SHARE