Yahaan Kisii Ko Bhii Kuchh

SHARE

Yahaan kisii ko bhii kuch
Yahaan kisii ko bhii kuchh hasb-e-aarzuu na milaa
Kisii ko ham na mile aur ham ko tuu na milaa
Ghizaal-e-ashk sar-e-subah duub-e-mizhgaan par
Kab apnii aankh khulii aur lahuu lahuu na milaa
Chamakte chaand bhii the shahar-e-shab ke aivaan men
Nigaar-e-gham saa magar koii shamaa-ruu na milaa
Unhii kii ramz chalii hai galii men yahaan
Jinhen idhar se kabhi izn-e-guftguu na milaa
Phir aaj mai-kada-e-dil se laut aaye hain
Phir aaj ham ko thikaane ka subuu na mila
Translation
Hasb-e-arzoo = in accordance with one's wishe
Ruu = fac
Izn = permissio

This is a great kuchh sher o shayari.

SHARE