Usi Se Aaye Hain Aashob Aasman Wale

SHARE

Usi se aaye hain aashob aasman wale
Jise gubaar samajhate the karavan wale
Main apni dhun mein yahan aandhiyan uthata hun
Magar kahan wo maze khaak-e-aashiyan wale
Mujhe diya na kabhi mere dushmano ka pata
Mujhe hawa se ladhate rahe jahan wale
Mere saraab-e-tamanna pe rashk tha jin ko
Bane hain aaj wahi bahar-e-be-karaan wale
Main nala hun mujhe apne labon se door na rakh
Mujhi se zinda hai tu mere jism-o-jaan wale
Ye musht-e-khaak 'zafar' mera pairahan hi tu hai
Mujhe zameen se darayein na kehakashan wale

This is a great aasman shayari.

SHARE