Tum Na Aaye Ek Din Ka Vadaa Kar

SHARE

Tum na aaye ek din ka vadaa ka
Tum na aaye ek din ka vadaa kar do din talak
Ham pade tadpa kiye do-do pahar do din talak
Dard-e-dil apna sunata hun kabhi jo ek din
Rehta hai us naazneen ko dard-e-sar do din talak
Dekhte hain khwab mein jis din kisoo kee chashm-e-mast
Rehte hain hum do jahaan se bekhabar do din talak
Gar yaqeen ho ye humein aayega tu do din ke baad
To jiyen hum aur is ummeed par do din talak
Kya sabab kya vaasta kya kaam tha batalaiye
Ghar se jo nikale na apne tum "zafar" do din talak

This is a great aap aaye shayari. If you like aapki yaad aaye shayari then you will love this. Many people like it for exam paas aaye shayari. Share it to spread the love.

SHARE