Tujhse Bicharr Kar

SHARE

Tujhse bicharr ka
Tujhse bicharr kar kya hun main, ab bahar aakar dekh
Himmat hai to meri haalat, aankh mila kar dekh
Shaam hai gehri, tez hawaa hai, sar pe khari hai raat
Rasta gaye musafir ka ab diya jalaa kar dekh
Darwaze ke paas aa aa kar wapis mudti chaap
Kaun hai iss sunsaan gali mein, paas bula kar dekh
Shayad koi dekhne wala ho jaye khairaan
Kamre ki deewaron par koi naqsh bana kar dekh
Tu bhi munir ab bhare jahaan mein mil kar rehna seekh
Bahar se to dekh liya, ab andar jaa kar dekh

This is a great tujhse door shayari. If you like tujhse juda shayari then you will love this. Many people like it for tujhse milkar shayari. Share it to spread the love.

SHARE