Taluq Rakh Liya Baaki

SHARE

Taluq rakh liya baak
Taluq rakh liya baaki yakeen tod aaya hun
Kisi ka saath dena tha kisi ko chod aaya hun
Tumhare saath jeene kee kasam khane se kuch pehle
Main kuch vaade, kayi kasmein, kahin pe tod aaya hun
Mohabbat kaanch ka zinaaan thi, yun sang-e-garaan kab thi
Jahan sir phod sakta tha, wahan sir phod aaya hun
Palat kar aa geya lekin yun lagta hai ki apna aap
Jahan tum mujh se bichde the wahin rakh chod aaya hun
Use jaane kee jaldi thi so main aankhon hi aankhon mein
Jahan tak chod sakta tha, wahan tak chod aaya hun

This is a great jeena seekh liya shayari. If you like himmat rakh shayari then you will love this. Many people like it for chura liya shayari. Share it to spread the love.

SHARE