Raat Aadhi Se Jyada Gayi Thi

SHARE

Raat aadhi se jyada gayi thi, sara aalam sota tha
Naam tera le le kar koi dard ka maara rota tha
Charagaron, ye taskin kaisi, main bhi hun is duniya mein
Unko aisa dard kab utha, jinko bachana hota tha
Kuch ka kuch keh jata tha main furkat kee betabi mein
Sunane wale hans padte the hosh mujhe tab aata tha
Tare aksar doob chale the, raat ko rone walo ko
Aane lagi thi neend si kuch, duniya mein savera hota tha
Tark-e-mohabbat karne walo, kaun aisa jag jeet liya
Ishq ke pehle ke din socho, kaun bada sukh hota tha
Uske aansu kisne dekhe, uski aahein kisne suni
Chaman chaman tha husn bhi lekin dariya dariya rota tha
Pichala pahar tha hizr kee shab ka, jagta rab, sota insan
Taaron kee chanv mein koi 'firaq' sa moti pirota tha

This is a great badal gayi shayari. If you like bhul gayi shayari then you will love this. Many people like it for chandni raat shayari. Share it to spread the love.

SHARE