Phool Jaise Makhmali Talawo Mein

SHARE

Phool jaise makhmali talawo mei
Phool jaise makhmali talawo mein chhale kar diye
Gore suraj ne hazaro jism kaale kar diye
Pyaas kaise bujhegi humne khud hi bhool se
Maikade kamzarf logo ke hawale kar diye
Dekh kar tujh ko koi manzar na dekha umar bhar
Ek ujaale ne meri aankhon mein jaale kar diye
Roshni ke devta ko pujta tha kal talak
Aaj ghar kee khidkiyon ke kaanch kaale kar diye
Zindgi ka koi bhi tohfa nahi hai mere paas
Khoon ke aansu to ghazlo ke hawale kar diye

This is a great april phool shayari. If you like khubsurat phool shayari then you will love this. Many people like it for phool ki shayari in hindi. Share it to spread the love.

SHARE