Na Ho Yaa Rabb Aisi Tabiyat Kisi Kee

SHARE

Na ho yaa rabb aisi tabiyat kisi kee
Ki hans hans ke dekhe museebat kisi kee
Jafaa un se mujh se wafa kaise chhute
Ye sach hai nahi chhutati aadat kisi kee
Achhoota jo gham ho to is mein bhi khush hun
Nahi mujh ko manzoor shirkat kisi kee
Haseeno kee dono adayein hain dil-bar
Kisi kee haya to shararat kisi kee
Mujhe gum-shuda dil ka gham hai to ye hai
Ke is mein bhari thi mohabbat kisi kee
Bahut roye hum yaad mein apne dil kee
Jahan dekhi nanhi si turbat kisi kee

This is a great mohabbat shayari 2 lines. If you like gham shayari by famous urdu poets then you will love this. Many people like it for akele hain shayari. Share it to spread the love.

SHARE