Muddat Se Lapata Hai Khudaa Jaane Kya Hua

SHARE

Muddat se lapata hai khudaa jaane kya hua
Phirta tha ek shakhs tumhein puchta huaa
Wo zindgi thi aap the ya koi khwab tha
Jo kuch tha ek lamhe ko bas samna hua
Hum ne tere bagair bhi jee kar dikha diya
Ab ye sawal kya hai ki phir dil ka kya hua
So bhi wo tu na dekh saki ai hawa-e-dahar
Seene mein ik charag rakha tha jala hua
Duniya ko zid numaish-e-zakhm-e-jigar se thi
Fariyad maine kee na zamana khafa hua
Har anjuman mein dhyaan usi anjuman ka hai
Jagaa ho jaise khwaab koi dekhta hua
Ye iztiraab-e-shauq hai 'akhtar' ki gum-rahi
Main apne kaafile se hun koson badha hua

This is a great muddat shayari facebook. If you like muddat baad shayari then you will love this. Many people like it for jaane do shayari. Share it to spread the love.

SHARE