Meri Zindagi To Firaaq Hai

Meri Zindagi To Firaaq Hai

SHARE

Meri zindagi to firaaq hai

Meri zindagi to firaaq hai, wo azal se dil k makeen sahi;
Wo nigah-e-shoq se door hon, rag-e-jaan se laakh qareen sahi;

Hamein jaan deni hai ek din, wo kisi tarah wo kahein sahi;
Hamein aap khinchein daar per, jo nahi koi to hum hi sahi;

Sar-e-toor ho, sar-e-hashar ho, hamein intizaar qabool hai;
Wo kabi mile, wo kahin mile, wo kabi sahi, wo kahin sahi;

Na ho un per jo mera bus nahi, k yeh aashqi hai hawas nahi;
Mai unhi ka tha, mai unhi ka hoon, wo mere nahi to nahi sahi;

Jo ho faisla wo sunaye, use hashar per na uthaye;
Jo kareinge aap sitam wahan, wo abhi sahi, wo yahin sahi;

Useh dekhne ki jo loo lagi, to 'naseer' dekh hi leinge hum;
Wo hazar aankh se door ho, wo hazar parda-nasheen sahi!

Translation:

Firaaq: sepration
Nigah-e-shoq: eager glance
Rag-e-jaan: a jugular vein
Sar-e-toor: mount

This is a great jaan shayari 2 lines. If you like zindagi shayari 2 lines then you will love this. Many people like it for akela hoon shayari. Share it to spread the love.

SHARE