Maine Kab Chaha Ki Main

SHARE

Maine kab chaha ki mai
Maine kab chaha ki main us kee tamana ho jaoon
Ye bhee kya kam hai agar us ko gawara ho jaoon
Mujh ko unchai se girana bhee hai manzoor, agar
Us kee palkon se jo toote, wo sitara ho jaoon
Lekar ik azm uthun roz nayi bheed ke sath
Phir wahei bheed chhate aur main tanha ho jaoon
Jab talak mahve-nazar hun, main tamashayi hun
Tuk nigahein jo hata loon to tamasha ho jaoon
Main wo bekar sa pal hun, na koi shabd, na sur
Wo agar mujh ko rachale to hamesha ho jaoon
Aagahi mera marz bhi hai, mudawa bhi hai 'saaz'
Jis se marta hun, usee zehar se achha ho jaoon

This is a great chaha hai shayari. If you like hum ne tumko chaha shayari then you will love this. Many people like it for maine kya kiya shayari. Share it to spread the love.

SHARE