Main Bura Hi Sahi Bhala Na Sahi

SHARE

Main bura hi sahi bhala na sahi
Par teri kaun see jafaa na sahi
Dard-e-dil hum to un se keh guzare
Gar unhone nahi suna na sahi
Shab-e-gham mein bala se shugal to hai
Naala-e-dil mera rasa na sahi
Dil bhi apna nahi raha na rahe
Ye bhi ai charkh-e-fitnaa-zaa na sahi
Dekh to lenge wo agar aaye
Taaqat-e-arz-e-muddaa na sahi
Kuch to aashiq se chhed-chhaad rahi
Kaj-adaayi sahi adaa na sahi
Kyon bura manate ho shikwa mera
Chalo be-jaa sahi b-jaa na sahi
Uqada-e-dil hamara ya kismat
Na khula tujh se ai saba na sahi
Vaaizo band-e-khuda to hai 'aish'
Hum ne maana wo parasa na sahi

This is a great bura aadmi shayari. If you like sahi baat shayari then you will love this. Many people like it for bura dost shayari. Share it to spread the love.

SHARE