Khud Ko Kyon Jism Ka Zindani Kare

SHARE

Khud ko kyon jism ka zindani kare
Fikar ko takht-e-sulemani kare
Der tak baith ke soche khud ko
Aaj fir ghar mein biyabani kare
Apne kamre mein sajaye aafaq
Jalsa-e-be-sar-o-samani kare
Umar bhar sher kahe khoon thuke
Muntkhib rasta-e-nuksani kare
Khud ke liye mol le izhar ka karz
Dusron ke liye aasani kare
Sher ke lab pe khamoshi likhe
Harf-e-na-gufta ko la-sani kare
Kimiyakari hai fan apna 'saaz'
Aag ko baithe hue paani kare

This is a great aakhir kyon shayari. If you like kyon ki film shayari then you will love this. Many people like it for khud gharz shayari. Share it to spread the love.

SHARE