Jigar Ki Aag Bujhe

Jigar Ki Aag Bujhe Jald Jismen Woh Shai Laa

SHARE

Jigar ki aag bujhe

Jigar ki aag bujhe jald jismen woh shai laa;
Laga ke barf mein, saqi, surahi-e-mai laa;

Qadam ko haath lagaata hun, uth kahin, ghar chal;
Khuda ke waste, itne tau paaon mat phaila;

Nikal ke wadi-e-wahshat se dekh, ai majnun;
Ke zor dhun mein ab aata hai naaqa-e-laila;

Gira jo haath se farhad ke kahin teesha;
Daroon-e-koh se nikli sada-e-wavela;

Nazakat uske mukhre ki dekho, insha;
Naseem-e-subh jo chhoo jaae, rang ho maila!

Translation:
Surahi-e-mai = flak of wine
Wadi-e-wahshat = wilds of frenzy
Naaqa-e-laila = comes your laila
Sada-e-wavela = heard
Naseem-e-subh = morning breeze

This is a great dil jigar shayari. If you like jaldi aa jao shayari then you will love this. Many people like it for shair o shayari. Share it to spread the love.

SHARE