Jab Nahi Aaye The Tum Tab Bhi To Tum Aaye The

SHARE

Jab nahi aaye the tum tab bhi to tum aaye the
Aankh mein noor kee aur dil mein lahoo kee surat
Yaad kee tarah dhadakte hue dil kee surat
Tum nahi aaye abhi phir bhi to tum aaye ho
Raat ke seene mein mehtab ke khanjar kee tarah
Subah ke haath mein khurshid ke sagar kee tarah
Tum nahi aaoge jab phir bhi to tum aaoge
Zulf dar zulf bikhar jayega phir raat ka rang
Shab-e-tanhayi mein bhi lutf-e-mulaqat ka rang
Aao aane kee karein baat ki tum aaye ho
Ab tum aaye ho main kaun si shai nazar karu
Ki mere paas siva mehr-o-wafa kuch bhi nahi
Ek dil ek tamanna ke siva kuch bhi nahi

This is a great kadar nahi shayari. If you like darte nahi shayari then you will love this. Many people like it for aap aaye shayari. Share it to spread the love.

SHARE