Ik Umar Dil Kee Ghaat Se Tujh Par Nigaah Kee

SHARE

Ik umar dil kee ghaat se tujh par nigaah kee
Tujh par teri nigaah se chhup kar nigaah kee
Roohon mein jalti aag khayalon mein khilte phool
Saari sadakatein kisi kaafir nigaah kee
Jab bhi gham-e-zamana se aankhein hui do-chaar
Munh pher kar tabassum-e-dil par nigaah kee
Baagen khinchi masafatein kadki faras ruke
Maazi kee rath se kis ne palat kar nigaah kee
Dono ka rabt hai meri mauj-e-khiram se
Lagzish khayal kee ho ke thokar nigaah kee

This is a great hazrat umar shayari. If you like umar bhar shayari then you will love this. Many people like it for lambi umar shayari in hindi. Share it to spread the love.

SHARE