Hum Musaafir Yun Hi Masroof-E-Safar Jaayen Ge

SHARE

Hum musaafir yun hi masroof-e-safar jaayen ge
Be-nishaan ho gaye jab shehar to ghar jaayen ge
Kis kadar hoga yahan mehr-o-wafa ka maatam
Hum teri yaad se jis roz utar jaayen ge
Jauhri band kiye jaate hain bazaar-e-sukhan
Hum kise bechne almaas-o-gauhar jayen ge
Nemat-e-zeest ka yeh karz chukega kaise
Laakh ghabra ke yeh kehte hain rahen mar jaayen ge
Shayad apna bhi koi bait hudi-khvan ban kar
Saath jaaye ga mere yaar jidhar jaayen ge
Faiz aate hain rah-e-ishq main jo sakht maqaam
Aane walon se kaho hum to guzar jaayen ge

This is a great mar jaayen shayari.

SHARE