Hum Hain Mataa-e-Koocha-o-Baazaar

SHARE

Hum hain mataa-e-koocha-o-baazaa
Hum hain mataa-e-koocha-o-baazaar kee tarah
Uthti hai har nigaah kharidaar kee tarah
Iss ku-e-tishnagi mein bahut hai ki ek jaam
Haath aa gaya hai daulat-e-bedaar kee tarah
Wo to hain kahin aur magar dil ke aas paas
Firti hai koi shay nigaah-e-yaar kee tarah
Seedhi hai raah-e-shauq pa yun hi kabhi kabhi
Kham ho gayi hai gesu-e-diladar kee tarah
Ab ja ke kuch khula hunar-e-naakhoon-e-junoon
Zakhm-e-jigar huye lab-o-rukhsar kee tarah
Majrooh likh rahe hain wo ahal-e-wafa ka naam
Hum bhi khade hue hain gunahagaar kee tarah

This is a great akele hain shayari. If you like baithe hain shayari then you will love this. Many people like it for darte hain shayari. Share it to spread the love.

SHARE