Hairan Hai Jabeen Aaj

SHARE

Hairan hai jabeen aa
Hairan hai jabeen aaj kidhar sajda ravaa hai
Sar par hain khudavand sar-e-arsh khuda hai
Kab tak ise seenchoge tamanna-e-samar mein
Ye sabr ka pauda to na phula na phala hai
Milta hai khiraj us ko teri naan-e-javin se
Har baadshah-e-waqt tere dar ka gadaa hai
Har ek uquubat se hai takhi mein sava-tar
Wo rang jo na-karda gunahon kee saza hai
Ehsaan liye kitne maseeha-nafson ke
Kya kijiye dil ka na jala hai na bujha hai

This is a great hairan hu shayari.

SHARE