Gazab Kiya

SHARE

Gazab kiya, tere vaade pe aitbaar kiya
Tamaam raat qayamat ka intezar kiya
Hansa hansa ke shab-e-vasl ashkbaar kiya
Tasaliya mujhe de de ke beqaraar kiya
Hum aise mahv-e-nazara na the jo hosh aata
Magar tumhare tagaful ne hoshiyar kiya
Fasana-e-shab-e-gham unko ek kahani thi
Kuch aitabaar kiya aur kuch na-aitabaar kiya
Ye kisne jalwa hamare sar-e-mazaar kiya
Ki dil se shor utha, haaye! beqaraar kiya
Tadap phir ai dil-e-nadan, ki gair kehte hain
Aakhir kuch na bani, sabr ikhtiyaar kiya
Kuch aage daawar-e-mahshar se hai umeed mujhe
Kuch aap ne mere kehne ka aitabaar kiya

This is a great ajab gazab shayari. If you like gunaah kiya shayari then you will love this. Many people like it for aapne yaad kiya shayari. Share it to spread the love.

SHARE