Deedaar Ki Hawas Hai Na Shauq-E-Visaal Hai

SHARE

Deedaar ki hawas hai na shauq-e-visaal hai
Azaad har khayal se mast-e-khayal hai
Keh do yeh kohkan se hi marna nahi kamaal
Mar mar ke hijr-e-yaar main jeena kamaal hai
Fatva diya hai mufti abr-e-bahaar ne
Tauba ka khooon baada-kashon ko halaal hai
Aankhen bata rahi hain jaage ho raat ko
In saaghron mein buu-e-sharab-e-visaal hai
Barsaao teer mujh pe par itna jaan lo
Pehlu mein dil hai dil mein tumhara khayal hai
Aankhen lada ke un se hum aafaat mein pad gaye
Aankhon ki har zubaan pe dil ka sawaal hai
Bhutt keh diya jo maine to ab bolte nahin
Itni si baat ka tumhe itna khayal hai
Pucha jo unse jaante ho tum jaleel ko
Bole ke haan woh shayer-e-naazuk-khayal hai

This is a great hawas bhari shayari. If you like hawas ki shayari then you will love this. Many people like it for hawas pyar shayari. Share it to spread the love.

SHARE