Chaman Mein Subah Ye Kehti Thi Ho Kar Chashm-e-Tar Shabnam

SHARE

Chaman mein subah ye kehti thi ho kar chashm-e-tar shabnam;
Bahaar-e-baag to yun hi rahi lekin kidhar shabnam;
Arq kee boond us kee zulf se rukhsaar par tapki;
Tazub kee hai jaage ye padi khurshid par shabnam;
Humein to baag tujh bin khana-e-matam nazar aaya;
Idhar gul phadte the jeb, roti thi udhar shabnam;
Kare hai kuch na kuch taseer sohbat saaf taabon kee;
Hui aatish se gul ke baithte rashq-e-sharar shabnam
Bhala tuk subah hone do ise bhi dekh levenge;
Kisi aashiq ke rone se nahi rakhti khabar shabnam
Na samjha 'dard' humne bhed ya kee shadi-o-gham ka;
Sehar khandaan hai kyon roti hai kis ko yaak kar shabnam!

This is a great aashiq funny shayari. If you like gham shayari by famous urdu poets then you will love this. Many people like it for kisi ko bhulana shayari. Share it to spread the love.

SHARE