Bedili Se Hansne

SHARE

Bedili se hansn
Bedili se hansne ko khush-dili na samjha jaye
Gam se jalte chehre ko roshni na samjha jaye
Gaha gaha wahshat mein ghar ki simt jata hun
Isko dasht-e-hairat se wapsi na samjha jaye
Lakh khushguman duniya bahimi talluq ko
Dosti kahein lekin dosti na samjha jaye
Hum to bas ye kehte hain roz jine marne ko
Ap chahein kuch samjhein zindagi na samjha jaye
Khak karne walon ki kya ajeeb khwahish thi
Khak hone walon ko khak hi na samjha jaye

This is a great hansne ki shayari.

SHARE