Bahut Aaraam Karna

SHARE

Bahut aaraam karn
Bahut aaraam karna chahti hun
Yahi ek kaam karna chahti hun
Shaoor-e-aagahi ek almiaa hai
Ise neelaam karna chahti hun
Main apni umar ke saaray
Asaasay tumhaaray naam karna chahti hun
Tumharay khaim-e-khushbuu mein reh kar
Main subaah-o-shaam karna chahti hun
Charaaghon se hawaa ki dushmani hai
Ise naakaam karna chahti hun

This is a great ignore karna shayari. If you like baat karna shayari then you will love this. Many people like it for kadar karna shayari. Share it to spread the love.

SHARE