Aadam Ka Jism Kab

SHARE

Aadam ka jism ka
Aadam ka jism kab ke anaasir se mil bana
Kuchh aag bach rahi thi, so aashiq ka dil bana
Sar garam-e-nala in dinon main bhi hoon, andleeb
Mat aashian chaman mein mere mutsil bana
Jab teesha kohkan ne liya haath, tab yeh ishq
Bola ke apni chhati pe dharne ko sil bana
Jis teergi se roz hai ushaaq ka seaah
Shaaid usi se chehre-e-khubaan pe til bana
Lab zindagi mein kab mile us lab se, ai kalaal
Saagar hamaari khaak ko math karke gil bana
Apne hunar dikha denge hum tujhko sheesha gar
Toota hua kisi ka agar hum se dil bana
Sun sun ke arz-e-haal mera yaar ne kaha
Sauda na baaten baith ke yaan mutsil bana
Translation
Andleeb = nightingal
Chehre-e-khubaan = beauty's fac
Arz-e-haal = tale of wo

This is a great aashiq funny shayari. If you like jeena seekh liya shayari then you will love this. Many people like it for zindagi shayari 2 lines. Share it to spread the love.

SHARE