Roz jeeta hoon roz marta hoon Zulm khud apne sath karta hoon Bheed mein kho gaya kahin

SHARE

Roz jeeta hoon roz marta hoo
Zulm khud apne sath karta hoo
Bheed mein kho gaya kahin shaya
Apna chehra talash karta hoo
Main hi muljim main hi munsif hoo
Isliye shayad faisle se darta hoo
Samna ho to apna sar jhuka lung
Peeth pichhe to main mukarta hoo
Waqt bhi kis tarah meharbaan ha
Na to hasta na aah bharta hoo
Gungunaye nadi mere khayalon k
Raah se uski jab gujartaa hoo
Apne paon mein bandh kar manji
Main safar yun tamam karta hoon

SHARE