Har Yaad Ko Youn Zakham Banatay Nahin Dil Ka

SHARE

Har yaad ko youn zakham banatay nahin dil ka
Har teer ko paivest rug-e-jaan nahin kertay
Yeh masla ab ahal-e-mohabbat ka hai apna
Mertay hain to kuch aap pay ahsaan nahi
Kertay
Khat layain na layain tera hum naama bron ko
Bus daikhtay rehtay hain paraishan nahin kartay
Aisay bhi tou rakhtay nahin khanjar pay gulo ko
Itna bhi to qatil ko pashaiman nahin kartay

SHARE