Na Ruthna Humse Hum Mar JayengeNa ruthna humse hum mar jayengeDil ki duniya tabaah kar jayengePyar kiya he humne koi mazak nahiDil ki dhadkan tere naam kr jayenge
Humne Manga Tha Saath UnkaHumne manga tha saath unkaWoh judai ka gham de gayeHum unki yaadon ke sahare hi jee letePar woh bhool jaane kee kasam de gaye
Humne Manga Tha Saath UnkaHumne manga tha saath unkaWoh judai ka gham de gayeHum unki yaadon ke sahare hi jee letePar woh bhool jaane kee kasam de gaye
Humne To Ek Muddat Se Sona Hi Chhod Diya Ek Darr SeHumne to ek muddat se sona hi chhod diya ek darr seKi khwab mein bhi jo bichhade to haqeeqat mein mar jayenge!
Mujhe Khud Se Hain ShikayateinMujhe khud se hain shikayateiMujhe khud se hain shikayatein, mujhe zindagi se gila nahiKi jo chaha maine woh paa liya, nahi aisa kuch jo mila nahiMere aas paas hai roshni, mere raaston mein chirag hainYeh tere karam ka hai mojza, meri justuju ka sila nahiTeri aankh se jo haseen ho, woh nigah jag mein bani nahiTere rukh ko jis se misaal doon, koi aisa phool khila nahinYeh jo teri zulf ka hai hashiya, yeh jo tera chehra khushnumaKoi raat aisi siyaah nahi, kisi subah mein yeh jilaa nahinYeh jo mehr-o-maa kee hain halatein, yeh jo aainon kee hain hairteinHain azal se yeh isi tarah, koi apni jaa se hila nahi
Maine Kab Chaha Ki MainMaine kab chaha ki maiMaine kab chaha ki main us kee tamana ho jaoonYe bhee kya kam hai agar us ko gawara ho jaoonMujh ko unchai se girana bhee hai manzoor, agarUs kee palkon se jo toote, wo sitara ho jaoonLekar ik azm uthun roz nayi bheed ke sathPhir wahei bheed chhate aur main tanha ho jaoonJab talak mahve-nazar hun, main tamashayi hunTuk nigahein jo hata loon to tamasha ho jaoonMain wo bekar sa pal hun, na koi shabd, na surWo agar mujh ko rachale to hamesha ho jaoonAagahi mera marz bhi hai, mudawa bhi hai 'saaz'Jis se marta hun, usee zehar se achha ho jaoon