Maine Rab Se Kaha Wo Chhod Ke Chali Gayi MujheMaine rab se kaha wo chhod ke chali gayi mujhePata nahi uski kya majburi thiRab ne kaha isme uska koi kasur nahiYe kahani toh maine likhi hi adhuri thi
Katt Hi Gayi Judayi BhiKatt hi gayi judayi bhi, kab yeh hua ki mar gayeTere bhi din guzar gaye, mere bhi din guzar gaye
Naye Kapde Badal Kar Jaun Kahan Aur Baal Banaun Kis Ke LiyeNaye kapde badal kar jaun kahan aur baal banaun kis ke liyeWoh shakhs to shehar hi chodd geya main bahar jaun kis ke liyeMuddat se koi aayaa na geya sunsaan padi hai ghar kee fazaaIn khali kamron mein 'nasir' ab shama jalaun kis ke liiye
Rang-e-Sharaab SeRang-e-sharaab sRang-e-sharaab se meri neeat badal gaiWaaiz ki baaten rah gaien, saqi ki chal gaiTayyaar the namaaz pe hum, sun ke zikr-e-hurJalwa buton ka dekh ke neeat badal gaiMachhli ne dhil paai hai, luqme pe shaad haiSayyad mutmain hai keh kaanta nigal gaiChamka tira jamaal jo mahfal mein waqt-e-shaamParwana be-qaraar hua, shama jal gaiUqwa ki baaz purs ka jaata rha khayaalDuniya ki lazzaton mein tabiat bahl gaiHasrat bahut taraqqi-e-dukhtar ki thi unhenPurdah jo uth gaya, tau woh aakhir nikal gaiTranslationLuqme pe shaad = morsel swee
Taskeen Na Ho Jis SeTaskeen na ho jis sTaskeen na ho jis se wo raaz badal daloJo raaz na rakh paye hamraaz badal daloTum ne bhi suni hogi bari aam kahawat haiAnjam ka jo ho khatra aghaz badal daloPur-soz dilon ko jo muskan na de payeSur hi na mile jis mein wo saaz badal daloDushman ke iradon ko hai zahir agar karnaTum khel wohi khelo andaz badal daloAy dost karo himmat kuch door savera haiAgar chahte ho manzil to parwaaz badal dalo
Saanson Ki Hararat SeSaanson ki hararat sSaanson ki hararat se pighal jaanay ka mausamAaya hai teri aanch mein jal jaanay ka mausamHam ko nahi maloom tha ishq ka aaghaazYaadon mein kahin door nikal jaanay ka mausamLagta hai ki chehre pe tere theher gaya haiYak lakht kayi rang badal jaanay ka mausamAey sheher tasalli tere mashkoor hain hamAaya hee nahi dil ke sambhal jaanay ka mausamYe sheher-e-tamanna bhi anokha hai ki is parBarsaat mein bhi rehta hai thal jaanay ka mausamChehre pe agar hai mere subaah ka ujaalaAankhon mein magar shaam ke dhal jaanay ka mausam